Like this Poetry? Pata kiya poochta hai woh Kitaboon mein miloon ga mein Kiya maa se hain jo me ne keh Wadoon mein miloon ga mein Mein anay wala kal hoon woh mujhe q aaj maray ga? Yeh uss ka weham ho ga ke woh aisay khawab maray ga. Tumhara khoon hon na iss liya acha lara hoon mein Bata aya hoon Dushman ko ke us se to bara hoon mein Mein aisi Qaum se hoon jis ke woh bachoon se darta hai Bara Dushman bana phirta hai jo bachoon se larta hai Bara Dushman bana phirta hai jo bachoon se larta hai Woh jb atay howay mujhko Galey tum ne lagaya tha Aman Allah kaha mujh ko Mera Beta Bulaya tha Khuda ke aman ki rah mein kahan se a gya tha woh Jahan tm Choomti the Maa waha tak agya tha woh Mein aisi Qaum se hoon jis ke woh bachoon se darta hai Bara Dushman bana phirta hai jo bachoon se larta hai Bara Dushman bana phirta hai jo bachoon se larta hai mujhe jana para hai per mera bhai karey ga aub keh jitna naa perha woh sub mera bhai perhe ga aub